October 23, 2024

Dushman Tabah Karne Ka Taweez

jab hum kahtay hein dushman tabah karne ka taweez tou kuch log sochtay ho gy kah dusro no nuqsan pohanchana buri baat hay. lekin un logo kay liye araz hay kah je han be wajha dusro ko nuqsan pohanchana buri baat hay lekin jab koi had say zayada barh jay aur aap kay bacho ka aur aap ki rosi roti ka dushman ho jay aur peecha chornay par bhi tayyar na ho tou phir aap kia karein gy. aisay logo ko sabaq sikhana zaruri hota hay.

is kay liye phir aamil log yahi batatay hein kah dushman ko rokanay kay liye aur us ko baaz karwanay kay liye phir dushman tabah karne ka taweez zaruri hota hay. us kay liye phir hum dushman ko roknay ka taweez pahlay detay hein. jab wo baaz nahi aata tou phir aur koi solution nahi hota saway is kay kah dushman ko tabah karne ka taweez diya jay.

dushman ko tabah karne ka taweez aik bohat hi pur asar taweez hay. is mein latkanay jalanay wala taweez hota hay ya phir wazan kay neechay dubanay wala taweez hota hay. rohaniyat aur amliyat o taweezat bohat asar angaiz cheezen hein. yah bohat takatwar cheezen hoti hein. aur in kay zariye aap kuch bhi kaam lay saktay hein. aur jab aap haq par hon tou phir tou yah zarur faida detay hein.

kabhi aisa hota hay kah koi taweez asar nahi karta lekin yah tab hota hay jab aap sahi tareekay say taweez ko amal mein nahi latay yani taweez ka amal pura karnay mein koi ghalti ho jati hay. warna yah possible hi nahi hay kah aamil kaamil taweez likhnay mein koi ghalti na karay aur aap taweez ko kaam mein lanay mein koi ghalti na karen aur phir bhi taweez asar na karay.

yah tou aisay hi hay jaisay mein kahon kah mein nay kal aag par pani dala aur aag nahi bhuji. aisa possible hi nahi hay Khuda kay qawaneen atal hotay hein. pani aag ko bhjata hay isi tarha zameen mein dana bonay say darakhat ugta hay bilkul isi tarha taweez chalanay say taweez ka asar hota hay. zarurat kay kaamil yaqeen ki. yaqeen kay sath amal kijiye INSHALLAH hamesha kamyab hon gy.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *